Vighnaharta Ki Gatha- RosePod Play kapak görseli

Vighnaharta Ki Gatha- RosePod Play

Vighnaharta Ki Gatha- RosePod Play

Yazan: RosePod Play
Şimdi ücretsiz dinle, üyelik gerekmez

This Season's Biggest Deal | £0.99/mo for 3 months + £10 Audible bonus

£5.99/mo after 3 months - terms apply. Cancel monthly
Özet

Vighnaharta ki Gatha ek mythological kahani hai jo Lord Ganesha ki timeless kahani ko zinda karti hai unke janm ki kahani Kailash par, us yuddh ki gatha jisme unka sir kata, aur unke punarjanm ki kahani jahan woh sabke priya Vighnaharta bane. Ye sirf ek myth ki kahani nahi hai, balki ek maa ke dukh aur pyaar, ek pita ke kathor nirnay, aur ek bachhe ke anant balidaan ka ehsaas bhi hai. Har episode ek nayi parat kholta hai aur end hota hai Ganesh Chaturthi ke utsav ke saath, jahan mythology aur tradition ek saath jeevit ho jaate hain. At its heart, Vighnaharta ki Gatha ek kahani hai parivaar, vishwas aur umeed ki jo aaj bhi har ghar mein Ganpati Bappa ke swagat ke saath mehsoos hoti hai.


Producer: RosePod Play

Writer: Shruti Shelatkar & Kritika Khandelwal

AI Video Creator: Hitesh Gawankar


For business enquiries - business@roseaudiovisuals.com

Copyright 2025 RosePod Play
Hinduism Spirituality
  • Episode 3 - Punarjanm aur Utsav
    26 Aug 2025

    Parvati ke dukh ko shaant karne ke liye hota hai ek divya nirnay. Balak ko diya jata hai ek naya roop, aur ek naya naam — Ganesh, Vighnaharta, Ganapati. Tab se lekar aaj tak, har shubh kaarya ki shuruaat unhi ke naam se hoti hai. Aur isi kahani ka utsav hai Ganesh Chaturthi.

    Daha fazlasını göster Daha Az Göster
    4 dk.
  • Episode 2 - Yudh aur Krodh
    26 Aug 2025

    Balak ka adig pratibandh, Shiv ke ganon tak ko rukne par majboor karta hai. Jid aur maryada ke is takraav mein bhadakta hai ek yudh, jismein shakti aur bhakti dono ki kasauti hoti hai. Par iska parinaam ban jaata hai vinash aur Parvati ka akrosh.


    Daha fazlasını göster Daha Az Göster
    5 dk.
  • Episode 1 - Janm ki Kahani
    26 Aug 2025

    Kailash par shanti ke beech, Parvati ji apne ekant mein ek naya roop rachi. Mitti se janma ek balak — nirdosh par shaktishaali, jo unke dwar ka rakshak bana. Yehi shuruaat hai us gatha ki jo aage chal kar Vighnaharta ko janm degi.

    Daha fazlasını göster Daha Az Göster
    5 dk.
adbl_web_anon_alc_button_suppression_t1
Henüz yorum yok